Friday, June 03, 2005

Kaha jaaye zindagi

Kidhar jaaye.....
Khud ko tumhari yaado se...
Kaise bachaye...

Khuli aankho me nahi to
Band aankho me chali aane lagi ho
Duur jitni ja ra ho
Aab aur utna sataane lagi ho

Kaise muskuraye..
Aankho me samundar sa jo hai
Use duniya se kasie chipaaye...

Ek awwaj sunne ko taras gaye hai
Rangeen aansu baras baras ke thak gaye hai
Ye kaate tumhari judaai ke
Dil se ho kar aatma me uttar gaye hai

Kaise tumhe batau..
Itni duur jo basera bana liya hai tumne
Kaise tumhe sunau..

Par tumse jayada mere daro ko shayad kon janta hai
Dard dene wala hi daro ko pahchanta hai
Ki har pal ki maut jo marta hai, pucho es diwane se
Mujhe se jayada maut ko shayad kon jaanta hai

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब