Sunday, December 26, 2004

Virrano me...

Kon se raaho me aa gaye hai
Na jaane, kaha se shuruaat kar ke
Anjaane hawao ke, lahardaar kafile hai
Aur begane musafiro ke hausle
..........................
Kat gayi hai zami pahchan wali
Yaa aapno ne, chera chupa liya hai
Abhi to basant ke mausam hai
Phir bhi paato ne, zami be basera bana liya hai
....................................
Roshan chirago se hoti thi galiya jo
Aab din ke ujjale bhi, kam pad gaye hai
To meri nazar ka dos hai shayad
Ya phir, bure waqt hi mujh pe aad gaye hai
.....................................
Khuli rahti thi, jo darwaaje mere aane pe
Aab khidkiyo se bhi aankhe dekhti nahi
Kitne kadam hote the, jab gujra karte the yahi se
Aab to ret pe bhi koi nisha milte nahi
...................................
Nazar utthi nahi kahi, ki
Dekhne ko bas koi nahi milta
Shayad haawao ne rukh badal liya hai
Haa, Tabhi to mere saath aab koi nahi chalta
..................................

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब