Thursday, December 09, 2004

Pyar Ho gaya hai

...................
Intejaar hai tumhara Is tarah
Ki har aahat teri aane ki wajah lagti hai
Aab bharosa nahi raha in aankho ka
Har waqt jo teri raah takti hai
..............
Hum pyar karte nahi tumse
Aisa khud se hazar waar kah rahe hai
Aksar ladte hai khud se wewajh
Wewajh hi ye sitam kyu sah rahe hai
.........
Kasmakash hai ki har muskurahat
Sirf tumpe hi aakar khatm hoti hai
Hum to itne diwanne kabhi na the
Aab to har gali ishq se saaji lagti hai
......................
Chpate rahte hai khud se..
Tumse chipana muskil lagta hai
Mera dil na jaane kaha kho gaya hai
Aab waha pe tumhara dil rahta hai..
.....

No comments:

Post a Comment

कुछ कहिये

नक़ाब